तेरे होंठों के दो फूल प्यारे प्यारे
मेरे प्यार की बहारों के नज़ारे
अब मुझे चमन से क्या लेना, क्या लेना
तेरी आँखों के दो तारे प्यारे प्यारे
मेरी रातों के चमकते सितारे
अब मुझे गगन से क्या लेना, क्या लेना
तेरी काया कंचन कंचन, किरणों का है जिसमें बसेरा
तेरी साँसें महकी महकी, तेरी ज़ुल्फों में खुशबू का डेरा
तेरा महके अंग अंग, जैसे सोने में सुगंध
मुझे चंदनबन से क्या लेना, क्या लेना
मैने देखा जबसे तुझको मेरे सपने हुये सिंदूरी
तुझे पा के मेरे जीवनधन, हर कमी हुई मेरी पूरी
पिया एक तेरा प्यार, मेरे सोलह सिंगार
मुझे अब दर्पन से क्या लेना, क्या लेना
तेरा मुखड़ा दमके चमके, जैसे सागर पे चमके सवेरा
तेरी बाँहें प्यार के झूले, तेरी बाँहों में झूले मन मेरा
तेरी मीठी हर बात, रस की है बरसात
हमें अब सावन से क्या लेना, क्या लेना
हमें क्या लेना, क्या लेना
tere hoṅṭhoṅ ke do phūl pyāre pyāre
mere pyār kī bahāroṅ ke nazāre
ab mujhe chaman se kyā lenā, kyā lenā
terī āṇkhoṅ ke do tāre pyāre pyāre
merī rātoṅ ke chamakte sitāre
ab mujhe gagan se kyā lenā, kyā lenā
terī kāyā kaṅchan kaṅchan, kirṇoṅ kā hai jismeṅ baserā
terī sāṇseṅ mahkī mahkī, terī zulphoṅ meṅ khuśhbū kā ḍerā
terā mahke aṅg aṅg, jaise sone meṅ sugaṅdh
mujhe chaṅdanaban se kyā lenā, kyā lenā
maine dekhā jabse tujhko mere sapne huye siṅdūrī
tujhe pā ke mere jīvandhan, har kamī huī merī pūrī
piyā ek terā pyār, mere solah siṅgār
mujhe ab darpan se kyā lenā, kyā lenā
terā mukhaṛā damke chamke, jaise sāgar pe chamke saverā
terī bāṇheṅ pyār ke jhūle, terī bāṇhoṅ meṅ jhūle man merā
terī mīṭhī har bāt, ras kī hai barsāt
hameṅ ab sāvan se kyā lenā, kyā lenā
hameṅ kyā lenā, kyā lenā