Tere baare men jab sochaa naheen thaa

तेरे बारे में जब सोचा नहीं था
Work
Language

तेरे बारे में जब सोचा नहीं था
मैं तनहा था मगर इतना नहीं था
तेरी तस्वीर से करता था बातें
मेरे कमरे में आईना नहीं था
समंदर ने मुझे प्यासा ही रखा
मैं जब सेहरा में था प्यासा नहीं था
मनाने रूठने के खेल में हम
बिछड़ जायेंगे ये सोचा नहीं था
सुना हैं बंद कर ली उसने आँखें
कई रातों से वो सोया नहीं था

tere bāre meṅ jab sochā nahīṅ thā
maiṅ tanhā thā magar itnā nahīṅ thā
terī tasvīr se kartā thā bāteṅ
mere kamre meṅ āīnā nahīṅ thā
samaṅdar ne mujhe pyāsā hī rakhā
maiṅ jab sehrā meṅ thā pyāsā nahīṅ thā
manāne rūṭhne ke khel meṅ ham
bichhaṛ jāyeṅge ye sochā nahīṅ thā
sunā haiṅ baṅd kar lī usne āṇkheṅ
kaī rātoṅ se vo soyā nahīṅ thā