kiśhor: are yār merī tum bhī ho ġhazab, ghūṇghaṭ to zarā oṛho
ahā māno kahā ab tum ho javāṅ,
merī jān laṛkapan chhoṛo
āśhā: jab merī chunriyā malmal kī,
phir kyoṅ na phirūṇ jhalkī-jhalkī
kiśhor: are yār merī tum bhī ho ġhazab …
āśhā: (koī jo mujhko hāth lagāegā,
hāth na uske āūṅgī
mai tere man kī lāl parī hūṇ re,
man meṅ tere uṛ jāūṅgī ) - 2
kiśhor: tum parī to zarūr ho, par baṛī maśhhūr ho
āśhā: jab merī chunriyā malmal kī …
kiśhor: are yār merī tum bhī ho ġhazab …
āśhā: (dekhke tarse lākh ye bhaṅvre, aur inheṅ tarsāūṅgī
terī galī kī ek kalī hūṇ,
tere gale lag jāūṅgī ) - 2
kiśhor: tum kalī to zarūr ho, par baṛī maśhhūr ho
āśhā: jab merī chunriyā malmal kī …
kiśhor: are yār merī tum bhī ho ġhazab …
āśhā: (ḍālke ghuṅghṭā rūp ko apne, aur nahīṅ maiṅ chhupāūṅgī
suṅdrī banke terī balamvā,
āj to maiṅ lahrāūṅgī )- 2
kiśhor: suṅdrī to zarūr ho, par baṛī maśhhūr ho
āśhā: jab merī chunriyā malmal kī …
kiśhor: are yār merī tum bhī ho ġhazab …
āśhā: jab merī chunriyā malmal kī …
kiśhor (whispers): are yār merī tum bhī ho ġhazab …