Tanhaa tanhaa ham ro lenge

तनहा तनहा हम रो लेंगे
Work
Language

तनहा तनहा हम रो लेंगे, महफ़िल महफ़िल गायेंगे
जब तक आँसू पास रहेंगे, तब तक गीत सुनायेंगे
तुम जो सोचो वो तुम जानो, हम तो अपनी कहते है
देर ना करना घर जाने में वर्ना घर खो जायेंगे
बच्चों के छोटे हाथों को चाँद सितारें छूने दो
चार किताबे पढ़कर वो भी हम जैसे हो जायेंगे
किन राहों से दूर है मंजिल, कौनसा रस्ता आसां है
हम जब थककर रुक जायेंगे औरोंको समझायेंगे
अच्छी सूरतवाले सारे पत्थर दिल हो मुमकिन है
हम तो उस दिन राय देंगे जिस दिन धोखा खायेंगे

tanhā tanhā ham ro leṅge, mahafil mahafil gāyeṅge
jab tak āṇsū pās raheṅge, tab tak gīt sunāyeṅge
tum jo socho vo tum jāno, ham to apnī kahte hai
der nā karnā ghar jāne meṅ varnā ghar kho jāyeṅge
bachchoṅ ke chhoṭe hāthoṅ ko chāṇd sitāreṅ chhūne do
chār kitābe paṛhkar vo bhī ham jaise ho jāyeṅge
kin rāhoṅ se dūr hai maṅjil, kaunsā rastā āsāṅ hai
ham jab thakakar ruk jāyeṅge auroṅko samjhāyeṅge
achchhī sūratvāle sāre patthar dil ho mumkin hai
ham to us din rāy deṅge jis din dhokhā khāyeṅge