Sholaa hoon, bharakne kee gujaareesh naheen kartaa

शोला हूँ, भड़कने की गुजारीश नहीं करता
Work
Year
Language

शोला हूँ, भड़कने की गुजारीश नहीं करता
सच मुँह से निकल जाता है, कोशिश नहीं करता

गिरती हुई दीवार का हमदर्द हूँ लेकिन
चढ़ते हुए सूरज की परस्तिश नहीं करता

माथे के पसीने की महक आये ना जिस से
वो खून मेरे जिस्म में गर्दिश नहीं करता

हमदर्दी-ए-एहबाब से डरता हूँ मुज़फ्फर
मैं जख्म तो रखता हूँ, नुमाईश नहीं करता

śholā hūṇ, bhaṛakne kī gujārīśh nahīṅ kartā
sach muṇh se nikal jātā hai, kośhiśh nahīṅ kartā

girtī huī dīvār kā hamdard hūṇ lekin
chaṛhte hue sūraj kī parastiśh nahīṅ kartā

māthe ke pasīne kī mahak āye nā jis se
vo khūn mere jism meṅ gardiśh nahīṅ kartā

hamdardī-e-ehbāb se ḍartā hūṇ muzaphphar
maiṅ jakhm to rakhtā hūṇ, numāīśh nahīṅ kartā