Sharaab cheez hee aisee hai naa chhoree jaaye

शराब चीज़ ही ऐसी है ना छोड़ी जाये
Work
Language

शराब चीज़ ही ऐसी है ना छोड़ी जाये
ये मेरे यार के जैसी है ना छोड़ी जाये

हर एक शय को जहां में बदलते देखा है
मगर ये वैसे की वैसी है ना छोड़ी जाये
ये मेरे यार के जैसी है ना छोड़ी जाये

किसी के दम से पिघलती है ये बोझल रातें
मगर ये पानी के जैसी है ना छोड़ी जाये
ये मेरे यार के जैसी है ना छोड़ी जाये

यही तो टूटे दिलों का इलाज़ है अंजुम
मैं क्या कहूँ तुझे कैसी है ना छोड़ी जाये
ये मेरे यार के जैसी है ना छोड़ी जाये

śharāb chīz hī aisī hai nā chhoṛī jāye
ye mere yār ke jaisī hai nā chhoṛī jāye

har ek śhay ko jahāṅ meṅ badalte dekhā hai
magar ye vaise kī vaisī hai nā chhoṛī jāye
ye mere yār ke jaisī hai nā chhoṛī jāye

kisī ke dam se pighaltī hai ye bojhal rāteṅ
magar ye pānī ke jaisī hai nā chhoṛī jāye
ye mere yār ke jaisī hai nā chhoṛī jāye

yahī to ṭūṭe diloṅ kā ilāz hai aṅjum
maiṅ kyā kahūṇ tujhe kaisī hai nā chhoṛī jāye
ye mere yār ke jaisī hai nā chhoṛī jāye