Seene men jalan aankhon men toofaan saa k‌yon hai

सीने में जलन आँखों में तूफ़ान सा क्‌योँ है
Work
Year
Language

सीने में जलन आँखों में तूफ़ान सा क्‌यों है
इस शहर में हर शख़्स परेशान सा क्‌यों है

दिल है तो धड़कने का बहाना कोई ढूँढे
पत्थर की तरह बेहिस-ओ-बेजान सा क्‌यों है

तनहाई की ये कौन सी मंज़िल है रफ़ीक़ों
ता-हद्द-ए-नज़र एक बयाबान सा क्‌यों है

क्‌या कोई नई बात नज़र आती है हम में
आईना हमें देख के हैरान सा क्‌यों है

sīne meṅ jalan āṇkhoṅ meṅ tūfān sā k‌yoṅ hai
is śhahar meṅ har śhakhs pareśhān sā k‌yoṅ hai

dil hai to dhaṛakne kā bahānā koī ḍhūṇḍhe
patthar kī tarah behis-o-bejān sā k‌yoṅ hai

tanhāī kī ye kaun sī maṅzil hai rafīqoṅ
tā-hadd-e-nazar ek bayābān sā k‌yoṅ hai

k‌yā koī naī bāt nazar ātī hai ham meṅ
āīnā hameṅ dekh ke hairān sā k‌yoṅ hai