dil meṅ ho tum, āṇkhoṅ meṅ tum
bolo tumhe kaise chāhūṇ
pūjā karuṇ, sajdā karuṇ
jaise kaho vaise chāhūṇ
jānūṇ merī jānūṇ, jāne, yā nā jānūṇ
akelā hūṇ maiṅ akelā
tumhe phir dil ne pukārā
tumhārī yādeṅ satāaiṅ
nahīṅ hai koī hamārā
duniyā ke ġham, sahtā hūṇ maiṅ
birhā ke ġham, sah nā pāūṇ
jānūṇ merī jānūṇ, jāne, yā nā jānūṇ
hameśhā dekhā yahī hai
milan ke saṅg hai judāī
śhāyad vo hogā dīvānā
chāhat hai jisne banāī
chāhe jalūṇ, chāhe marūṇ
phir bhī tere gun meṅ gāūṇ
jānūṇ merī jānūṇ, jāne, yā nā jānūṇ
dil meṅ ho tum, āṇkhoṅ meṅ tum
bolo tumhe kaise chāhūṇ
pūjā karuṇ, sajdā karuṇ
jaise kaho vaise chāhūṇ
jānūṇ merī jānūṇ, jāne, yā nā jānūṇ