vo bhūlī dāstāṇ, lo phir yād ā gaī
najar ke sāmne, ghaṭā sī chhā gaī
kahāṇ se phir chale āe, ye kuchh bhaṭke hue sāe
ye kuchh bhūle hue nagme, jo mere pyār ne gāe
ye kuchh bichhḍī huī yāde, ye kuchh ṭūṭe hue sapne
parāye ho gae to kyā, kabhī ye bhī to the apne
na jāne inse kyoṅ milkar najar śharmā gaī
umīdoṅ ke hṇsī mele, tamannāoke vo rele
nigāhoṅne nigāhoṅse ajab kuchh khel the khele
havā meṅ julph lahrāī, najar pe bekhudī chhāī
khule the dil ke darvāje, mohabbat bhī chalī āī
tamannāokī duniyā par javānī chhā gaī
baṛe raṅgī jamāne the, tarāne hī tarāne the
magar ab pūṅchhtā hai dil, vo din the yā fasāne the
phakat ek yād hai bākī, bas ek pharyād hai bākī
vo khuśhiyāṇ lūṭ gaī lekīn, dil-e-barbād hai bākī
kahāṇ thī jindgī merī, kahāṇ par ā gaī