साथ किसी के कोई कब आता है
साथ किसीके कोई कब आता है
साथ किसीके कब जाता है
पल दो पल का साथ सभी का
पल दो पल का नाता है
कच्चे घड़े जैसी ये दुनिया
पार किसी को तारे क्या
खुद ही सहारा ढूँधने वाले
तुझको देंगे सहारे क्या -2
जो न मिले क्या उसका गम
जब मिले हुए खो जाते हैं
सपने नहीं जिस नींद के अंदर
ऐसी नींद सो जाते हैं -2
sāth kisīke koī kab ātā hai
sāth kisīke kab jātā hai
pal do pal kā sāth sabhī kā
pal do pal kā nātā hai
kachche ghaṛe jaisī ye duniyā
pār kisī ko tāre kyā
khud hī sahārā ḍhūṇdhne vāle
tujhko deṅge sahāre kyā -2
jo na mile kyā uskā gam
jab mile hue kho jāte haiṅ
sapne nahīṅ jis nīṅd ke aṅdar
aisī nīṅd so jāte haiṅ -2