Pyaar kaa pahlaa khat likhne men vaqt to lagtaa hai

प्यार का पहला खत लिखने में वक़्त तो लगता है
Language

प्यार का पहला खत लिखने में वक़्त तो लगता है
नये परिंदो को उड़ने में वक़्त तो लगता है
जिस्म की बात नही थी उनके दिल तक जाना था
लंबी दूरी तय करने में वक़्त तो लगता है
गाँठ अगर लग जाये तो फिर रिश्ते हो या डोरी
लाख करे कोशिश खुलने में वक़्त तो लगता है
हमने इलाज-ए-जख्म-ए-दिल तो ढूँढ लिया लेकिन
गहरे ज़ख़्मो को भरने में वक़्त तो लगता है

pyār kā pahlā khat likhne meṅ vaqt to lagtā hai
naye pariṅdo ko uṛne meṅ vaqt to lagtā hai
jism kī bāt nahī thī unke dil tak jānā thā
laṅbī dūrī tay karne meṅ vaqt to lagtā hai
gāṇṭh agar lag jāye to phir riśhte ho yā ḍorī
lākh kare kośhiśh khulne meṅ vaqt to lagtā hai
hamne ilāj-e-jakhm-e-dil to ḍhūṇḍh liyā lekin
gahre zakhmo ko bharne meṅ vaqt to lagtā hai