jab ज़īro diyā mere bhārat ne, duniyā ko tab gintī āī
tāroṅ kī bhāṣhā bhārat ne duniyā ko pahle sikhlāī
detā nā daśhmalav bhārat to yūṇ chāṇd pe jānā muśhkil thā
dhartī aur chāṇd kī dūrī kā aṅdāzā lagānā muśhkil thā
sabhytā jahāṇ pahle āī, pahle janmī hai jahāṇ pe kalā
apnā bhārat vo bhārat hai jis ke pīchhe saṅsār chalā
saṅsār chalā aur āge baṛhā, yūṇ āge baṛhā, baṛhtā hī gayā
bhagvān kare ye aur baṛhe, baṛhtā hī rahe aur phūle phale
hai prīt jahāṇ kī rīt sadā, maiṅ gīt vahāṇ ke gātā hūṇ
bhārat kā rahnevālā hūṇ, bhārat kī bāt sunātā hūṇ
kāle gore kā bhed nahīṅ, har dil se hamārā nātā hai
kuchh aur na ātā ho hamko, hameṅ pyār nibhānā ātā hai
jise mān chūkī sārī duniyā, maiṅ bāt vahī dohrātā hūṇ
bhārat kā rahne vālā hūṇ, bhārat kī bāt sunātā hūṇ
jīte ho kisī ne deśh to kyā, hamne to diloṅ ko jītā hai
jahāṇ rām abhī tak hai nar meṅ, nārī meṅ abhī tak sītā hai
itne pāvan haiṅ log jahāṇ, maiṅ nīt nīt śhīśh jhukātā hūṇ
bhārat kā rahne vālā hūṇ, bhārat kī bāt sunātā hūṇ
itnī mamtā nadiyoṅ ko bhī, jahāṇ mātā kah ke bulāte haiṅ
itnā ādar iṅsān to kyā, patthar bhī pūje jāte haiṅ
us dhartī pe maine janam liyā, ye soch ke maiṅ itrātā hūṇ
bhārat kā rahne vālā hūṇ, bhārat kī bāt sunātā hūṇ