Phir teree yaad nae deep jalaane aaee

फिर तेरी याद नए दीप जलाने आई
Work
Language

फिर तेरी याद नए दीप जलाने आई
मेरी दुनिया से अंधेरों को मिटाने आई

न कोई दर्द न अब दर्द का एहसास रहा
यूँ लूटा हूँ के कुछ भी ना मेरे पास रहा
मेरी बर्बादी पे ये अश्क़ बहाने आई

इन बुझी आँखों के हर ख़्वाब की ताबीर जली
जल उठा मैं जो मेरे प्यार की तहरीर जली
मेरे दामन में लगी आग बुझाने आई

सोग में डूबी हुई लगती है खामोश फ़ज़ा
इतना तनफा मैं किसी शाम किसी रात न था
मेरी तनहाई को सीने से लगाने आई

phir terī yād nae dīp jalāne āī
merī duniyā se aṅdheroṅ ko miṭāne āī

na koī dard na ab dard kā ehsās rahā
yūṇ lūṭā hūṇ ke kuchh bhī nā mere pās rahā
merī barbādī pe ye aśhq bahāne āī

in bujhī āṇkhoṅ ke har khvāb kī tābīr jalī
jal uṭhā maiṅ jo mere pyār kī tahrīr jalī
mere dāman meṅ lagī āg bujhāne āī

sog meṅ ḍūbī huī lagtī hai khāmośh fazā
itnā tanphā maiṅ kisī śhām kisī rāt na thā
merī tanhāī ko sīne se lagāne āī