Parbat ke is paar, parbat ke us paar

परबत के इस पार, परबत के उस पार
Work
Year
Language

परबत के इस पार, परबत के उस पार
गूँज उठी छम-छम, छम-छम
गूँज उठी छम छम छम मेरी पायल की झंकार

मुख पे पड़ी थी कब से चुप की इक ज़ंजीर
मंदिर में चुपचाप खड़ी थी मैं बनके तस्वीर
आ चल गा मैं साथ हूँ तेरे
छेड़ दिये हैं सरस्वती देवी ने तार सितार

ग़म इक चिठ्ठी जिसमें ख़ुशियों का सन्देश
गीत तभी मन से उठता है जब लगती है ठेंस
आ चल गा मैं साथ हूँ तेरे
लय ना टूटे, ताल ना छूटे, छूटे ये संसार

फूल बने हैं घुँघरू, घुँघरू बन गये फूल
टूट के पाँव में सब कलियाँ बिछ गयी बनकर धूल
ता थैया, ता थैया
देखो झूम के नाच उठी है
मेरे अंग संग मस्त बहार

parbat ke is pār, parbat ke us pār
gūṇj uṭhī chham-chham, chham-chham
gūṇj uṭhī chham chham chham merī pāyal kī jhaṅkār

mukh pe paṛī thī kab se chup kī ik zaṅjīr
maṅdir meṅ chupchāp khaṛī thī maiṅ banke tasvīr
ā chal gā maiṅ sāth hūṇ tere
chheṛ diye haiṅ sarasvtī devī ne tār sitār

ġham ik chiṭhṭhī jismeṅ khuśhiyoṅ kā sandeśh
gīt tabhī man se uṭhtā hai jab lagtī hai ṭheṅs
ā chal gā maiṅ sāth hūṇ tere
lay nā ṭūṭe, tāl nā chhūṭe, chhūṭe ye saṅsār

phūl bane haiṅ ghuṇghrū, ghuṇghrū ban gaye phūl
ṭūṭ ke pāṇv meṅ sab kaliyāṇ bichh gayī bankar dhūl
tā thaiyā, tā thaiyā
dekho jhūm ke nāch uṭhī hai
mere aṅg saṅg mast bahār