śhre: yādoṅ meṅ aksar āte rahe
kuchh pal haṅsāte rulāte rahe
tumko bhulā nā pāye kabhī
lagtā hai tum sāth meṅ ho abhī
śhā: kyā khūb lamheṅ haiṅ
ham āj phir se haiṅ sāth
śhre: uṛ ke chale āsmāṇ ke pār
jinkī tamannā hai bār-bār
śhā: he he la lā la lā
he la lā la lā ā hā
bikhre huye khāb kitne
āṇkheṅ haiṅ khud meṅ basāye
khāboṅ meṅ nā mil sake jo
āo unheṅ ḍhūṇḍh lāyeṇ
phir ho ke sach khāb apne
śhre: chalne lageṅge sāth-sāth
samjho nā tum ye zarā sī bāt
śhā: samaṅdar kī lahroṅ ko dekho
ṭūṭeṅ magar tham nā jāyeṇ
sāhil se milne kī khātir
le ke ummīdeṅ vo āyeṇ
śhre: ham-tum bhī lahroṅ kī tarhā
milte raheṅge bār-bār
lamheṅ ye āyeṅge bār-bār