Pahlaa pahlaa pyaar hai, pahlee pahlee baar hai

पहला पहला प्यार है, पहली पहली बार है
Year
Language

पहला पहला प्यार है, पहली पहली बार है
जानके भी अनजाना, कैसा मेरा यार है

उसकी नजर, पलकों की चिलमन से मुझे देखती
उसकी हया, अपनी चाहत का राज खोलती
छूप के करे जो वफा, ऐसा मेरा यार है

वो है निशा, वो ही मेरे जिंदगी की भोर है
उसे है पता, उसके ही हाथों में मेरी डोर है
सारे जहां से जुदा, ऐसा मेरा यार है

pahlā pahlā pyār hai, pahlī pahlī bār hai
jānke bhī anjānā, kaisā merā yār hai

uskī najar, palkoṅ kī chilman se mujhe dekhtī
uskī hayā, apnī chāhat kā rāj kholtī
chhūp ke kare jo vaphā, aisā merā yār hai

vo hai niśhā, vo hī mere jiṅdgī kī bhor hai
use hai patā, uske hī hāthoṅ meṅ merī ḍor hai
sāre jahāṅ se judā, aisā merā yār hai