Pahchaan to thee, pahchaanaa naheen

पहचान तो थी, पहचाना नहीं
Year
Language

पहचान तो थी, पहचाना नहीं
मैंने अपने आपको जाना नहीं

जब धूप बरसती है सर पे
तो पाँव में छाँव खिलती है
मैं भूल गई थी छाँव अगर मिलती है, तो धूप में मिलती है
इस धूप और छाँव के खेल में क्यों, जीने का इशारा समझा नहीं

मैं जागी रही कुछ सपनों में
और जागी हुई भी सोई रही
जाने किन भूल भुलय्या में, कुछ भटकी रही कुछ खोई रही
जीने के लिए मैं मरती रही, जीने का इशारा समझा नहीं

pahchān to thī, pahchānā nahīṅ
maiṅne apne āpko jānā nahīṅ

jab dhūp barastī hai sar pe
to pāṇv meṅ chhāṇv khiltī hai
maiṅ bhūl gaī thī chhāṇv agar miltī hai, to dhūp meṅ miltī hai
is dhūp aur chhāṇv ke khel meṅ kyoṅ, jīne kā iśhārā samjhā nahīṅ

maiṅ jāgī rahī kuchh sapnoṅ meṅ
aur jāgī huī bhī soī rahī
jāne kin bhūl bhulayyā meṅ, kuchh bhaṭkī rahī kuchh khoī rahī
jīne ke lie maiṅ martī rahī, jīne kā iśhārā samjhā nahīṅ