Title (Indic)वक़्त-ए-पीरी शबाब की बातें WorkOrphan tracks Year1970 LanguageHindi Credits Role Artist Performer Ghulam Ali Writer Zauq LyricsHindiवक़्त-ए-पीरी शबाब की बातें ऐसी हैं जैसे ख़्वाब की बातें फिर मुझे ले चला उधर देखो दिल-ए-ख़ाना-खराब की बातें महजबीं याद है कि भूल गये वो शब-ए-माहताब की बातें तुझको रुसवा करेंगी ख़ून-ए-दिल तेरी ये इज़्तिराब की बातें सुनते हैं उनको छेड़ छेड़ के हम उसके मुँह से इताब की बातें ज़िक्र था जोश-ए-इश्क़ में ऐ 'ज़ौक़्' हम से हों सब्र-ओ-ताब की बातें Englishvaqt-e-pīrī śhabāb kī bāteṅ aisī haiṅ jaise khvāb kī bāteṅ phir mujhe le chalā udhar dekho dil-e-khānā-kharāb kī bāteṅ mahajbīṅ yād hai ki bhūl gaye vo śhab-e-māhtāb kī bāteṅ tujhko rusvā kareṅgī khūn-e-dil terī ye iztirāb kī bāteṅ sunte haiṅ unko chheṛ chheṛ ke ham uske muṇh se itāb kī bāteṅ zikra thā jośh-e-iśhq meṅ ai 'zauq' ham se hoṅ sabr-o-tāb kī bāteṅ