ra: ek hai apnī zamīṅ
ek hai apnā gagan
ek hai apnā jahāṇ
ek hai apnā vatan
apne sabhī sukh ek haiṅ
apne sabhī ġham ek haiṅ
āvāz do
āvāz do ham ek haiṅ
ham ek haiṅ
ko: āvāz do
āvāz do ham ek haiṅ
ham ek haiṅ
ra: ye vaqt khone kā nahīṅ
ye vaqt sone kā nahīṅ
jāgo vatan khatre meṅ hai
sārā chaman khatre meṅ hai
phūloṅ ke chehre zard haiṅ
zulfeṅ fizā kī gard haiṅ
umḍā huā tūfān hai
naraġhe meṅ hindostān hai
duśhman se nafrat farz hai
ghar kī hifāzat farz hai
bedār ho bedār ho
āmādā-e-paikār ho
ko: āvāz do
āvāz do ham ek haiṅ
ham ek haiṅ
ra: ye hai himālā kī zamīṅ
tāj-o-ajantā kī zamīṅ
saṅgam hamārī ān hai
chittauṛ apnī śhān hai
gulmarg kā mahkā chaman
jamnā kā taṭ gokul kā ban
gaṅgā ke dhāre apne haiṅ
ye sab hamāre apne haiṅ
kah do koī duśhman nazar
uṭṭhe na bhūle se idhar
kah do ke ham bedār haiṅ
kah do ke ham taiyār haiṅ
ko: āvāz do
āvāz do ham ek haiṅ
ham ek haiṅ
ra: uṭho javānān-e-vatan
bāṇdhe huye sar se qafan
uṭho dakkan kī or se
gaṅg-o-jaman kī or se
paṅjāb ke dil se uṭho
satluj se sāhil se uṭho
mahrāṣhṭr kī khāq se
dillī kī arz-e-pāk se
baṅgāl se gujrāt se
kaśhmīr ke bāġhāt se
nefā se rājasthān se
gulkhā ke hindustān se
ko: āvāz do
āvāz do ham ek haiṅ
ham ek haiṅ -5