pāyā maiṅne, pāyā tumhe, rab ne milāyā tumhe
hoṅṭhoṅ pe sajāyā tumhe, nagmeṅ sā gāyā tumhe
pāyā maiṅne, pāyā tumhe, sabse chhupāyā tumhe
sapnā banāyā tumheṅ, nīṅdoṅ meṅ bulāyā tumhe
tum jo āe zindgī meṅ bāt ban gaī
iśhk mazhab, iśhk merī zāt ban gaī
tum jo āe zindgī meṅ bāt ban gaī
sapne terī chāhtoṅ ke, dekhtī hūṇ ab kaī
din hai sonā aur chāṅdī rāt ban gaī
tum jo āe zindgī meṅ bāt ban gaī
chāhtoṅ kā mazā, phāsloṅ meṅ nahīṅ
ā chhupā lūṇ tumheṅ hausloṅ meṅ kahīṅ
sab se ūpar likhā hai tere nām ko
khvāiśhoṅ se juṛe silsiloṅ meṅ kahīṅ
khvāiśhe milne kī tumse, roz hotī hai naī
mere dil kī jīt merī māt ban gaī
tum jo āe zindgī meṅ bāt ban gaī
zindgī bevphā hai yah mānā magar
chhoṛkar rāh meṅ jāoge tum agar
chhīn lāūṅgā maiṅ āsmān se tumheṅ
sūnā hogā nā yah, do diloṅ kā nagar
raunke haiṅ dil ke dar pe, dhaṛakne haiṅ surmaī
merī kismat bhī tumhāre, sāth ban gaī
tum jo āe zindgī meṅ bāt ban gaī
iśhk mazhab, iśhk merī zāt ban gaī
sapne terī chāhtoṅ ke, dekhtī hūṇ ab kaī
din hai sonā aur chāṅdī rāt ban gaī
tum jo āe zindgī meṅ bāt ban gaī