ek hai apnī zamīṅ, ek hai apnā gagan
ek hai apnā jahāṇ, ek hai apnā vatan
apne sabhī sukh ek haiṅ, apne sabhī ġham ek haiṅ
āvāz do, āvāz do ham ek haiṅ, ham ek haiṅ
koras: āvāz do, āvāz do ham ek haiṅ, ham ek haiṅ
ye vaqt khone kā nahīṅ, ye vaqt sone kā nahīṅ
jāgo vatan khatre meṅ hai, sārā chaman khatre meṅ hai
phūloṅ ke chahre zard haiṅ, zulfeṅ fizā kī gard haiṅ
umdā huā tūfān hai, narve (naraġhe???) meṅ hiṅdustān hai
duśhman se nafrat farz hai, ghar kī hifāzat farz hai
bedār (???) ho bedār ho, āmādā-e-paigār ho (paikār???)
koras: āvāz do, āvāz do ham ek haiṅ, ham ek haiṅ
ye hai himālā kī zamīṅ, tāj-o-ajaṅtā kī zamīṅ
saṅgam hamārī ān hai, chittauṛ apnī śhān hai
gulmarg kā mahkā chaman, jamunā kā taṭ gokul kā ban
gaṅgā ke dhāre apne haiṅ, ye sab hamāre apne haiṅ
kah do koī duśhman nazar, uṭhe na bhūle se idhar
kah do ke ham bedār haiṅ, kah do ke ham tayyār haiṅ
koras: āvāz do, āvāz do ham ek haiṅ, ham ek haiṅ
uṭho javānāṅ-e-vatan, bāṇdhe hue sar se kafan
uṭho dakhan kī or se, gaṅg-o-jaman kī or se
paṅjāb kī dil se uṭho, satluj kī sāhil se uṭho
mahārāṣhṭr kī khāk se, dillī kī arz-e-pāk se
baṅgāl se gujrāt se, kaśhmīr ke bāgāt se
nefā se rājasthān se, purkhāṅ ke hiṅdustān se
koras: āvāz do, āvāz do ham ek haiṅ, ham ek haiṅ
ham ek haiṅ, ham ek haiṅ, ham ek haiṅ