ye duniyā gol hai, ūpar se khol hai
andar jo dekho pyāre bilkul polam-pol hai
ye duniyā gol hai
kitne hī duniyā vāle, rahte haiṅ gherā ḍāle
koī murād māṇge, koī aulād māṇge
koī muhabbat chāhe, koī huqūmat chāhe
sabke gale meṅ bhaiyyā armānoṅ kā ḍol hai
ye duniyā gol hai …
rupaiyy paisā na māṇgūṇ, sonā chāṇdī na māṇgūṇ
kapaṛā lattā na māṇgūṇ, ghoṛā gāṛī na māṇgūṇ
paravardigār mere, uskā dīdār de de
ek foto kā savāl hai bābā, bol ab tak nahīṅ milā
paravardigār mere, uskā dīdār de de
jaldī milā de merī duniyā ḍāṇvāḍol hai
ye duniyā gol hai …
are bāp re, ye kahāṇ se, ṭyūn badlo
mere maulā bulā le madīne ise
lage mauke pe āne pasīne mujhe
- ise nahīṅ, bābā, mujhe
achchhā betā, laṅbī umar ho jaldī se laṅbe ho jāo
ye duniyā gol hai …