vaise mujhe amīroṅ se milne kā kuchh khās śhauq nahīṅ hai
to phir mujhse pyār kyoṅ kiyā hāṇ
ye kambakht hai ki ġhaltī kar baiṭhtā hai aur bhugatnā hamko paṛtā hai
to bhugto
ku: he he he he he he
hā hā hā hā hā hā
hūṇ hūṇ hūṇ hūṇ hūṇ hūṇ
kabhī mujhko hṇsāe kabhī mujhko rulāe mujhe kitnā satātī hai-2
vo laṛkī bahot yād ātī hai -4
a: mere sapnoṅ meṅ āe mere dil ko churāe mujhe kitnā satātā hai
vo laṛkā bahot yād ātā hai -4
ku: ( dekhā use jab pahlī bār ban gayā dīvānā maiṅ yār
karke anjānā ikrār le gaī dil kā chain qarār ) -2
thoṛī sī ghabrāī thī
thoṛī sī śharmāī thī
kitnā pyārā mukhaṛā hai
vo to chāṇd kā ṭukaṛā hai
jāne kahāṇ chhup jātī hai
vo laṛkī bahot yād ātī hai -4
a: ( maiṅ to uspe martī hūṇ duniyā se nahīṅ ḍartī hūṇ
nām se uske sṇvartī hūṇ pal-pal āheṅ bhartī hūṇ ) -2
mānā ke majbūrī hai
chāhat abhī adhūrī hai
bas kuchh din kī dūrī hai
milnā bahot zarūrī hai
kyā-kyā dard jagātā hai
vo laṛkā bahot yād ātā hai -4
ku: kabhī mujhko hṇsāe kabhī mujhko rulāe mujhe kitnā satātī hai
a: mere sapnoṅ meṅ āe mere dil ko churāe mujhe kitnā satātā hai
vo laṛkā bahot yād ātā hai -2
ku: vo laṛkī bahot yād ātī hai -2
ab kyoṅ milnā chāhte ho mujhse bolo chup kyoṅ ho bolo
maine tumhāre baġhair itnī khāmośhī mahsūs kī hai
ki maiṅ bolnā bhūl gayā hūṇ
maiṅ tumse itnī dūr chalī jāuṇgī
ke dekhnā hameśhā ke liye khāmośh ho jāoge tum
chāroṅ taraf tanhāī hai ek udāsī chhāī hai
soch ke uskī bātoṅ ko āṇkh merī bhar āī hai
bechainī hai sāṇsoṅ meṅ
dard uṭhā hai sīne meṅ
bichhaṛ ke apne dilbar se
āye mazā nā jīne meṅ
kitnā mujhe taṛpātī hai
vo laṛkī bahot yād ātī hai -2
kabhī mujhko hṇsāe kabhī mujhko rulāe mujhe kitnā satātī hai -2
vo laṛkī bahot yād ātī hai -4