kuchh aur zamānā kahtā hai, kuchh aur hai zidd mere dil kī
maiṅ bāt zamāne kī mānūṇ, yā bāt sunūṇ apne dil kī
kuchh aur zamānā kahtā hai …
duniyā ne hameṅ berahmī se
ṭhukrā jo diyā, achchhā hī kiyā
nādān ham samjhe baiṭhe the
nibhtī hai yahāṇ dil se dil kī
kuchh aur zamānā kahtā hai …
insāf, muhabbat, sachchāī
vo raham-o-qaram ke dikhlāve
kuchh kahte zubāṇ śharmātī hai
pūchho na jalan mere dil kī
kuchh aur zamānā kahtā hai …
go bastī hai insānoṅ kī
insān magar ḍhūṇḍhe na milā
patthar ke butoṅ se kyā kīje
fariyād bhalā ṭūṭe dil kī
kuchh aur zamānā kahtā hai …