surmā merā nirālā, āṇkhoṅ meṅ jisne ḍālā
jīvan huā ujālā, hai koī nazar vālā,
hai koī nazar vālā, ra ra ra ra
o, lai lai surmā lai-e-o - 2 (Yodelling)
o, ḍe, ḍi-ḍi-ḍi-ḍi-ḍe-ī, ḍū-ḍū-ḍū-ḍū-ḍo-ū-o
ye vaqt ye zamānā, jab nā lage suhānā
phir mere pās ānā, khādim hūṇ maiṅ purānā
rakhtā jo kuchh nazar hai, samjhegā kyā asar hai
aṅdhe ko kyā khabar hai, hai koī nazar vālā,
hai koī nazar vālā, ya ya ya ya
surmā merā nirālā… ḍū-ḍū-ḍo-ū-o
duśhman jise satāye, isko lagāke jāye
jāke nazar milāye, dhokhā kabhī nā khāye
būṛhā ho yā ho bachchā, kyoṅ ho nazar kā kachchā
rakhtā hūṇ māl achchhā,
hai koī nazar vālā, ya ya ya ya
surmā merā nirālā… ḍū-ḍū-ḍo-ū-o
kissā abhī hai kal kā, rūṭhī thī ghar kī malikā
surmā idhar se jhalkā, gussā udhar kā halkā
sunte ho mere bhāī, phero to ek kalāī
qīmat hai tīn pāī, hai koī nazar vālā… ṭu ṭu ṭu ḍam
surmā merā nirālā… ya ya ya ya