Nazraanaa bhejaa kisee ne pyaar kaa

नज़राना भेजा किसी ने प्यार का
Work
Year
Language

नज़राना भेजा किसी ने प्यार का
है दीवाना जो बस तेरे दीदार का
रहेंगे जो रूठे रूठे, झूठे मुठे करके नखरे
तो हम बोलेंगे नहीं यूँ आपसे
देखो अब ना रोको टोको ना हँसी को
जो आनेवाली है होठों पे चुपचाप से
मुस्कराना, आया है तोहफा दिलदार का
कभी कभी दूरी भी ज़रूरी है
प्रेमियों में प्यार बढ़ाने के वास्ते
अरे होते ही हैं उँचे नीचे टेढ़े मेडे
जाने अनजाने देखो प्यार के रास्ते
ना घबराना, टल गया समां इंतज़ार का

nazrānā bhejā kisī ne pyār kā
hai dīvānā jo bas tere dīdār kā
raheṅge jo rūṭhe rūṭhe, jhūṭhe muṭhe karke nakhre
to ham boleṅge nahīṅ yūṇ āpse
dekho ab nā roko ṭoko nā hṇsī ko
jo ānevālī hai hoṭhoṅ pe chupchāp se
muskrānā, āyā hai tohphā dildār kā
kabhī kabhī dūrī bhī zarūrī hai
premiyoṅ meṅ pyār baṛhāne ke vāste
are hote hī haiṅ uṇche nīche ṭeṛhe meḍe
jāne anjāne dekho pyār ke rāste
nā ghabrānā, ṭal gayā samāṅ iṅtazār kā