Naheen naheen koee tum saa haseen

नहीं नहीं कोई तुम सा हसीं
Year
Language

नहीं नहीं
क्‌या रे नहीं
अरे बाबा क्‌या
नहीं नहीं कोई तुम सा हसीं
इसका है मतलब देखे हैं तुमने लाखों हसीं

यूँही थोड़ी देर को तो मैं शायर बन गया
मैने तो देखा नहीं जलवा कोई हुस्न का
तुममें है वो बात किसी में देखी ना वो बात कहीं
अच्छा जी
अरे नहीं नहीं …

मैं ये कैसे मान लूँ तुम इतने अनजान हो
तुम कितनी मासूम हो तुम कितनी नादान हो
लेकिन तुम भी मेरे जैसी मैं किस पर कर लूँ यक़ीं
नहीं नहीं …

मैने माना आपको मुझसे सच्चा प्यार है
पर मर्दों की बात का न कोई ऐतबार है
जहाँ पर देखी कोई अच्छी सूरत दिल खो गया वहीं
नहीं नहीं …

nahīṅ nahīṅ
k‌yā re nahīṅ
are bābā k‌yā
nahīṅ nahīṅ koī tum sā hasīṅ
iskā hai matalab dekhe haiṅ tumne lākhoṅ hasīṅ

yūṇhī thoṛī der ko to maiṅ śhāyar ban gayā
maine to dekhā nahīṅ jalvā koī husn kā
tummeṅ hai vo bāt kisī meṅ dekhī nā vo bāt kahīṅ
achchhā jī
are nahīṅ nahīṅ …

maiṅ ye kaise mān lūṇ tum itne anjān ho
tum kitnī māsūm ho tum kitnī nādān ho
lekin tum bhī mere jaisī maiṅ kis par kar lūṇ yaqīṅ
nahīṅ nahīṅ …

maine mānā āpko mujhse sachchā pyār hai
par mardoṅ kī bāt kā na koī aitbār hai
jahāṇ par dekhī koī achchhī sūrat dil kho gayā vahīṅ
nahīṅ nahīṅ …