Meraa man dole meraa tan dole ... dupattaa

मेरा मन डोले मेरा तन डोले ... दुपट्टा
Year
Language

ना पीला ना नीला ना काला ना गोरा
अभी है दुपट्टा मेरा कोरा कोरा

हूँ मेरा मन डोले मेरा तन डोले
मेरा तन डोले मेरा मन डोले
अगर करे दिल तेरा
ओ अगर करे दिल तेरा
आ रंग दे दुपट्टा मेरा

इस के आशिक़ देखो लोग हज़ार हैं
इस पे जीने मरने को तैयार हैं
और कोई ले जाए बाद में तू पछताए
अभी तो सारे बेबस हैं लाचार हैं
अगर करे दिल तेरा …

गोरे तन पे पंद्रह सोलह साल से
मैने इस को रखा है सम्भाल के
तू चाहे मुझ को पाना तो घर मेरे आ जाना
ले जाना मुझ पे लाल चुनरिया डाल के
अगर करे दिल तेरा …

मेरा मन डोले मेरा तन डोले

nā pīlā nā nīlā nā kālā nā gorā
abhī hai dupaṭṭā merā korā korā

hūṇ merā man ḍole merā tan ḍole
merā tan ḍole merā man ḍole
agar kare dil terā
o agar kare dil terā
ā raṅg de dupaṭṭā merā

is ke āśhiq dekho log hazār haiṅ
is pe jīne marne ko taiyār haiṅ
aur koī le jāe bād meṅ tū pachhtāe
abhī to sāre bebas haiṅ lāchār haiṅ
agar kare dil terā …

gore tan pe paṅdrah solah sāl se
maine is ko rakhā hai sambhāl ke
tū chāhe mujh ko pānā to ghar mere ā jānā
le jānā mujh pe lāl chunriyā ḍāl ke
agar kare dil terā …

merā man ḍole merā tan ḍole