मेरे भोले बलम, मेरे प्यारे बलम
मेरा जीवन तेरे बिना, ओ मेरे पिया
है वो दिया, की जिस में तेल न हो
मेरा जीवन तेरे बिना वो एक बाग है
बहार जिससे हटकर गुजरे, दूर दूर से गुजरे
हो मुझे अपना बना ले
ओ भोले मुझे अपना बना ले
तेरे क़दमों में मेरा प्यार, मेरा संसार
मेरी किस्मत है, मुझे अपना बना ले
मेरी प्यारी बिंदू, मेरी भोलेरी बिंदू
मेरी माथेरी बिंदू, मेरी सिंदूरी बिंदू
मेरी बिंदू रे बिंदू
मेरी प्रेम की नैया बीच भंवर में
गुडगुड गोते खाए झटपट पार लगा दे
झटपट पार लगा दे
अपनी बैयाँ गले में डार
बन जा मेरे गले का हार
झूले प्रेम हिंडोले, ओ झूले प्रेम हिंडोले
मेरे जीवन की आशा
पढ़ ले मेरी नैनों की भाषा
मुझे मन में बसा ले
पल पल पलकों में छुपा ले
तू झटपट आ कर झटपट मेरे अँधे कुएं में दीप जलाके
कर दे उजाला, ओ जरा कर दे उजाला
बिंदू रे ... ओ बिंदू रे ... बिंदू रे ...
mere bhole balam, mere pyāre balam
merā jīvan tere binā, o mere piyā
hai vo diyā, kī jis meṅ tel na ho
merā jīvan tere binā vo ek bāg hai
bahār jisse haṭkar gujre, dūr dūr se gujre
ho mujhe apnā banā le
o bhole mujhe apnā banā le
tere qadmoṅ meṅ merā pyār, merā saṅsār
merī kismat hai, mujhe apnā banā le
merī pyārī biṅdū, merī bholerī biṅdū
merī mātherī biṅdū, merī siṅdūrī biṅdū
merī biṅdū re biṅdū
merī prem kī naiyā bīch bhaṅvar meṅ
guḍguḍ gote khāe jhaṭapaṭ pār lagā de
jhaṭapaṭ pār lagā de
apnī baiyāṇ gale meṅ ḍār
ban jā mere gale kā hār
jhūle prem hiṅḍole, o jhūle prem hiṅḍole
mere jīvan kī āśhā
paṛh le merī nainoṅ kī bhāṣhā
mujhe man meṅ basā le
pal pal palkoṅ meṅ chhupā le
tū jhaṭapaṭ ā kar jhaṭapaṭ mere aṇdhe kueṅ meṅ dīp jalāke
kar de ujālā, o jarā kar de ujālā
biṅdū re ... o biṅdū re ... biṅdū re ...