Meree dushman hai ye ... ye khirkee jo band rahtee hai

मेरी दुश्मन है ये ... ये खिड़की जो बन्द रहती है
Year
Language

मेरी दुश्मन है ये मेरी उलझन है ये
बड़ा तड़पाती है दिल को तरसाती है
( ये खिड़की ) -2 जो बन्द रहती है -2
मेरी दुश्मन है ये …

लगता है मेला न जाने कहाँ
आशिक़ जमा होते हैं जहाँ
अरे सबको पता है ये दास्ताँ
इस घर में है एक लड़की जवाँ
आँखें झुका के गुज़रो इस गली से
आने-जाने वालों से कहती है
ये खिड़की जो बन्द …

ग़म की घटा है ये छट जाएगी
आहों से दीवार फट जाएगी
जब सामने से ये हट जाएगी
घूँघट में गोरी सिमट जाएगी
इक रोज़ गिर जाएगी टूट के ये
कितने नज़रों के तीर सहती है
ये खिड़की जो बन्द …

आए कभी चौबारे पे वो
कुछ सोचे मेरे बारे में वो
अरे बातें करे दो इशारे में वो
चुप सी खड़ी है उस किनारे पे वो
उस पार वो है और इस पार मैं हूँ
नदिया बीच में बहती है
ये खिड़की जो बन्द …

merī duśhman hai ye merī uljhan hai ye
baṛā taṛpātī hai dil ko tarsātī hai
( ye khiṛkī ) -2 jo band rahtī hai -2
merī duśhman hai ye …

lagtā hai melā na jāne kahāṇ
āśhiq jamā hote haiṅ jahāṇ
are sabko patā hai ye dāstāṇ
is ghar meṅ hai ek laṛkī javāṇ
āṇkheṅ jhukā ke guzro is galī se
āne-jāne vāloṅ se kahtī hai
ye khiṛkī jo band …

ġham kī ghaṭā hai ye chhaṭ jāegī
āhoṅ se dīvār phaṭ jāegī
jab sāmne se ye haṭ jāegī
ghūṇghaṭ meṅ gorī simaṭ jāegī
ik roz gir jāegī ṭūṭ ke ye
kitne nazroṅ ke tīr sahtī hai
ye khiṛkī jo band …

āe kabhī chaubāre pe vo
kuchh soche mere bāre meṅ vo
are bāteṅ kare do iśhāre meṅ vo
chup sī khaṛī hai us kināre pe vo
us pār vo hai aur is pār maiṅ hūṇ
nadiyā bīch meṅ bahtī hai
ye khiṛkī jo band …