Mere des men pavan chale purvaaee

मेरे देस में पवन चले पुरवाई
Work
Year
Language

मेरे देस में पवन चले पुरवाई, हो मेरे देस में
मेरे देस को देखने भाई सारी दुनिया आई
झिलमिल झिलमिल तारा चमके
डगमग डगमग नैया डोले
रिमझिम बादल बरसे रामा हो
गुनगुन गुनगुन भँवरे घूमे
झरझर झरझर झरने झूमे
छम छम पायल बाजे रामा हो
गैया नाचे, बाँसुरी बजाए रे कन्हाई
जीवन अपना सुंदर सपना
कौन पराया कौन है अपना
प्यार सभी का अपने दिल में हो
हर एक रंग के फूल हैं खिलते
हर मज़हब के लोग हैं मिलते
इस बगिया में इस महफ़िल में हो
हम सारे हैं भारतवासी, सब हैं भाई भाई
अंबुआ की डाली पे कोयल
गीत सुनाए कोमल कोमल
मेरे बाग की कलियों के हो
पतझड़ मस्त बहारों जैसे
पत्थर भी हैं तारों जैसे
मेरे गाँव की गलियो के
मेरे खेत की मट्टी ने सोने की सूरत पाई

mere des meṅ pavan chale purvāī, ho mere des meṅ
mere des ko dekhne bhāī sārī duniyā āī
jhilmil jhilmil tārā chamke
ḍagamag ḍagamag naiyā ḍole
rimjhim bādal barse rāmā ho
gungun gungun bhṇvre ghūme
jharjhar jharjhar jharne jhūme
chham chham pāyal bāje rāmā ho
gaiyā nāche, bāṇsurī bajāe re kanhāī
jīvan apnā suṅdar sapnā
kaun parāyā kaun hai apnā
pyār sabhī kā apne dil meṅ ho
har ek raṅg ke phūl haiṅ khilte
har mazhab ke log haiṅ milte
is bagiyā meṅ is mahafil meṅ ho
ham sāre haiṅ bhāratvāsī, sab haiṅ bhāī bhāī
aṅbuā kī ḍālī pe koyal
gīt sunāe komal komal
mere bāg kī kaliyoṅ ke ho
patjhaṛ mast bahāroṅ jaise
patthar bhī haiṅ tāroṅ jaise
mere gāṇv kī galiyo ke
mere khet kī maṭṭī ne sone kī sūrat pāī