Meraa pardesee naa aayaa

मेरा परदेसी ना आया
Year
Language

मेरा परदेसी ना आया,
सब के मन के मीत मिले हैं, बागों में फिर फूल खिले हैं
मेरा मन मुरझाया

सावन बरसा यूँ मन तरसा मैं जी भर के रोयी
जिसने देखा पागल समझा ये ना समझा कोई

याद में किस की जाने जुल्मी भूल गया बिरहन को
राह में जाने किस सौतन ने रोक लिया साजन को

सांझ सकारे ये कह कह के छेड़े दुनिया सारी
वो आती है वो जाती है एक बिरहा की मारी

merā pardesī nā āyā,
sab ke man ke mīt mile haiṅ, bāgoṅ meṅ phir phūl khile haiṅ
merā man murjhāyā

sāvan barsā yūṇ man tarsā maiṅ jī bhar ke royī
jisne dekhā pāgal samjhā ye nā samjhā koī

yād meṅ kis kī jāne julmī bhūl gayā birahan ko
rāh meṅ jāne kis sautan ne rok liyā sājan ko

sāṅjh sakāre ye kah kah ke chheṛe duniyā sārī
vo ātī hai vo jātī hai ek birhā kī mārī