Meraa dil phir tootaa kyoon tootaa kaise tootaa

मेरा दिल फिर टूटा क्‌यूँ टूटा कैसे टूटा
Work
Year
Language

मेरा दिल फिर टूटा क्‌यूँ टूटा कैसे टूटा
किसी नादान की ठोकर से खिलौना जैसे टूटा
मेरा दिल फिर टूटा

बिखर गया दिल टूट के मेरा कौन इसे अब जोड़े
दुख की रातें लम्बी हैं और ख़ुशियों के दिन थोड़े
दिल का साज़ बड़ा नाज़ुक था अपनी लय से टूटा
किसी नादान की ठोकर से खिलौना जैसे टूटा
मेरा दिल फिर टूटा

साहिल से फिर जा टकराई डूब चली फिर नाव
नये दुखों से आन मिले हैं आज पुराने घाव
जैसे दिल पहले टूटा था आज भी वैसे टूटा
किसी नादान की ठोकर से खिलौना जैसे टूटा
मेरा दिल फिर टूटा

कभी जो देखा करते थे मेरी ख़ुशियों के सपने
किधर गये वो साथी मेरे कहाँ गये वो अपने
एक-एक कर के छोड़ गये सब ये दिल ऐसे टूटा
किसी नादान की ठोकर से खिलौना जैसे टूटा
मेरा दिल ऐसे टूटा

merā dil phir ṭūṭā k‌yūṇ ṭūṭā kaise ṭūṭā
kisī nādān kī ṭhokar se khilaunā jaise ṭūṭā
merā dil phir ṭūṭā

bikhar gayā dil ṭūṭ ke merā kaun ise ab joṛe
dukh kī rāteṅ lambī haiṅ aur khuśhiyoṅ ke din thoṛe
dil kā sāz baṛā nāzuk thā apnī lay se ṭūṭā
kisī nādān kī ṭhokar se khilaunā jaise ṭūṭā
merā dil phir ṭūṭā

sāhil se phir jā ṭakrāī ḍūb chalī phir nāv
naye dukhoṅ se ān mile haiṅ āj purāne ghāv
jaise dil pahle ṭūṭā thā āj bhī vaise ṭūṭā
kisī nādān kī ṭhokar se khilaunā jaise ṭūṭā
merā dil phir ṭūṭā

kabhī jo dekhā karte the merī khuśhiyoṅ ke sapne
kidhar gaye vo sāthī mere kahāṇ gaye vo apne
ek-ek kar ke chhoṛ gaye sab ye dil aise ṭūṭā
kisī nādān kī ṭhokar se khilaunā jaise ṭūṭā
merā dil aise ṭūṭā