Mat jaa, mat jaa, mat jaa, mere bachapan naadaan

मत जा, मत जा, मत जा, मेरे बचपन नादां
Year
Language

मत जा, मत जा, मत जा, मेरे बचपन नादां
बचपन ने कहा मुझसे, कुछ रोज़ के हम मेहमां
जब से ये रुत मतवाली आई है मेरे आँगन
कहते है के जैसे नैना रूठा रहता है मन
अपने रूठे मनको मैं लेकर जाऊँ कहा
कल रात उचट गयी निंदिया और भोर तलक मैं जागी
ये कैसी मीठी अग्नि जो मेरे तन में लगी
कर दे ना मुझे पागल मेरे नटखट अरमां
क्यू लाज लगी है सबसे, क्यू सबसे छुपती फिरू
कोई भी नही है ऐसा, हाल अपना जिससे कहु
नादानी मेरी देखो सबको समझू नादां

mat jā, mat jā, mat jā, mere bachapan nādāṅ
bachapan ne kahā mujhse, kuchh roz ke ham mehmāṅ
jab se ye rut matvālī āī hai mere āṇgan
kahte hai ke jaise nainā rūṭhā rahtā hai man
apne rūṭhe manko maiṅ lekar jāūṇ kahā
kal rāt uchaṭ gayī niṅdiyā aur bhor talak maiṅ jāgī
ye kaisī mīṭhī agni jo mere tan meṅ lagī
kar de nā mujhe pāgal mere naṭkhaṭ armāṅ
kyū lāj lagī hai sabse, kyū sabse chhuptī phirū
koī bhī nahī hai aisā, hāl apnā jisse kahu
nādānī merī dekho sabko samjhū nādāṅ