ik bār agar tū kah de
tū hai merī ki maiṅ hūṇ terā
ham do albele paṅchhī
ham donoṅ kā ek baserā
do dil dhaṛke haiṅ chauṅk uṭhī haiṅ javāniyāṇ
kuchh kahā hai nigāhoṅ ne chheṛke pyār kī kahāniyāṇ
merā man hī nahīṅ hai mere bas meṅ
ye kisne jādū pherā
kaho jī ye kisne jādū pherā
ham donoṅ kā ek baserā …
ā jāyeṅ na kahīṅ ham tum kisī kī nigāhoṅ meṅ
saṅg saṅg hī chaleṅge ham ziṅdgī kī rāhoṅ meṅ
tujhe chhīn na le koī mujhse
ye jag hai baṛā luṭerā
suno jī, ye jag hai baṛā luṭerā
ham donoṅ kā ek baserā …
dekho āyī haiṅ sitāroṅ kī ṭimṭimātī ye ṭoliyāṇ
chalo inkī chhāṇv meṅ ham kheleṅ āṇkh micholiyāṇ
ṭūṭe na kabhī jīvan bhar
ye bandhan terā merā
oho jī, ye bandhan terā merā
ham donoṅ kā ek baserā …