Madhuban khushboo detaa hai, saagar saavan detaa hai

मधुबन खुशबू देता है, सागर सावन देता है
Year
Language

मधुबन खुशबू देता है, सागर सावन देता है
जीना उसका जीना है, जो औरों को जीवन देता है

सूरज ना बन पाये तो बन के दीपक जलता चल
फूल मिले या अंगारे, सच की राहों पे चलता चल
प्यार दिलों को देता है, अश्कों को दामन देता है
जीना उसका जीना है, जो औरों को जीवन देता है

चलती है लहरा के पवन के साँस सभी की चलती रहे
लोगों ने त्याग दिये जीवन के प्रीत दिलों में पलती रहे
दिल वो दिल है जो औरों को अपनी धड़कन देता है
जीना उसका जीना है, जो औरों को जीवन देता है

madhuban khuśhbū detā hai, sāgar sāvan detā hai
jīnā uskā jīnā hai, jo auroṅ ko jīvan detā hai

sūraj nā ban pāye to ban ke dīpak jaltā chal
phūl mile yā aṅgāre, sach kī rāhoṅ pe chaltā chal
pyār diloṅ ko detā hai, aśhkoṅ ko dāman detā hai
jīnā uskā jīnā hai, jo auroṅ ko jīvan detā hai

chaltī hai lahrā ke pavan ke sāṇs sabhī kī chaltī rahe
logoṅ ne tyāg diye jīvan ke prīt diloṅ meṅ paltī rahe
dil vo dil hai jo auroṅ ko apnī dhaṛkan detā hai
jīnā uskā jīnā hai, jo auroṅ ko jīvan detā hai