मधुबन खुशबू देता है, सागर सावन देता है
जीना उसका जीना है, जो औरों को जीवन देता है
मधुबन …
सूरज न बन पाए तो, बनके दीपक जलता चल -2
फूल मिलें या अँगारे, सच की राहों पे चलता चल -2
प्यार दिलों को देता है, अश्कों को दामन देता है
जीना उसका जीना है, जो औरों को जीवन देता है
मधुबन …
चलती है लहराके पवन, के साँस सभी की चलती रहे -2
लोगों ने त्याग दिये जीवन, के प्रीत दिलों में पलती रहे -2
दिल वो दिल है जो औरों को, अपनी धड़कन देता है
जीना उसका जीना है, जो औरों को जीवन देता है
मधुबन …
madhuban khuśhbū detā hai, sāgar sāvan detā hai
jīnā uskā jīnā hai, jo auroṅ ko jīvan detā hai
madhuban …
sūraj na ban pāe to, banke dīpak jaltā chal -2
phūl mileṅ yā aṇgāre, sach kī rāhoṅ pe chaltā chal -2
pyār diloṅ ko detā hai, aśhkoṅ ko dāman detā hai
jīnā uskā jīnā hai, jo auroṅ ko jīvan detā hai
madhuban …
chaltī hai lahrāke pavan, ke sāṇs sabhī kī chaltī rahe -2
logoṅ ne tyāg diye jīvan, ke prīt diloṅ meṅ paltī rahe -2
dil vo dil hai jo auroṅ ko, apnī dhaṛkan detā hai
jīnā uskā jīnā hai, jo auroṅ ko jīvan detā hai
madhuban …