Machal ke jab bhee aankhon se chhalk

मचल के जब भी आँखों से छलक
Year
Language

मचल के जब भी आँखों से छलक जाते हैं दो आँसू
सुना है आबोशारों को बड़ी तकलीफ़ होती है

खुदारा अब तो बुझ जाने दो इस जलती हुई लौ को
चरागों से मजारों को बड़ी तकलीफ़ होती है

कहू क्या वो बड़ी मासूमियत से पूछ बैठे हैं
क्या सचमुच दिल के मारों को बड़ी तकलीफ़ होती है

तुम्हारा क्या तुम्हें तो राह दे देते हैं काँटे भी
मगर हम खांकसारों को बड़ी तकलीफ़ होती है

machal ke jab bhī āṇkhoṅ se chhalak jāte haiṅ do āṇsū
sunā hai ābośhāroṅ ko baṛī taklīf hotī hai

khudārā ab to bujh jāne do is jaltī huī lau ko
charāgoṅ se majāroṅ ko baṛī taklīf hotī hai

kahū kyā vo baṛī māsūmiyat se pūchh baiṭhe haiṅ
kyā sachmuch dil ke māroṅ ko baṛī taklīf hotī hai

tumhārā kyā tumheṅ to rāh de dete haiṅ kāṇṭe bhī
magar ham khāṅksāroṅ ko baṛī taklīf hotī hai