Maano to main gangaa maan hoon

मानो तो मैं गंगा माँ हूँ
Year
Language

मानो तो मैं गंगा माँ हूँ ना मानो तो बहता पानी -2
( जो स्वर्ग ने दी धरती को ) -2 मैं हूँ प्यार की वही निशानी

युग-युग से मैं बहती आई नील गगन के नीचे
सदियों से मेरी धारा प्यार की धरती सींचे
मेरी लहर-लहर पे लिखी है इस देश की अमर कहानी

हरि ओम
अल्ला हो अकबर अल्ला -2
कोई वजू करे मेरे जल से कोई सूरज को नहलाए
कहीं धोबी कपड़े धोए कहीं पण्डित प्यास बुझाए
ये जात धरम के झगड़े इन्सान की हैं नादानी

गौतम अशोक अकबर ने यहाँ प्यार के फूल खिलाए
तुलसी ग़ालिब मीरा ने यहाँ ज्ञान के दीप जलाए
मेरे तट पे आज भी गूँजे नानक कबीर की वाणी
मानो तो मैं …

māno to maiṅ gaṅgā māṇ hūṇ nā māno to bahtā pānī -2
( jo svarg ne dī dhartī ko ) -2 maiṅ hūṇ pyār kī vahī niśhānī

yug-yug se maiṅ bahtī āī nīl gagan ke nīche
sadiyoṅ se merī dhārā pyār kī dhartī sīṅche
merī lahar-lahar pe likhī hai is deśh kī amar kahānī

hari om
allā ho akabar allā -2
koī vajū kare mere jal se koī sūraj ko nahlāe
kahīṅ dhobī kapaṛe dhoe kahīṅ paṇḍit pyās bujhāe
ye jāt dharam ke jhagaṛe insān kī haiṅ nādānī

gautam aśhok akabar ne yahāṇ pyār ke phūl khilāe
tulsī ġhālib mīrā ne yahāṇ jñān ke dīp jalāe
mere taṭ pe āj bhī gūṇje nānak kabīr kī vāṇī
māno to maiṅ …