Kyoon sharaabee sharaab peetaa hai

क्‌यूँ शराबी शराब पीता है
Year
Language

क्‌यूँ शराबी शराब पीता है
और फिर बेहिसाब पीता है
जानता है के चीज़ है ये बुरी
फिर भी ख़ाना-ख़राब पीता है

इस कदर ग़म मिले हैं दुनिया में
हम न पीते तो मर गये होते
गर सहारा न जाम का होता
जाने कब के बिखर गये होते
जिसने आँसू पिये हैं छुप छुप के
आज वो बेहिजाब पीता है

आँख में ख़ुश्क हो गए आँसू
एक क़तरा लहू का दिल में नहीं
कौन सा जुर्म है जो मेरे लिए
इस कदर तंग हो गई है ज़मीं
कुछ तो दुख है जिसे छुपाने को
चीज़ इतनी ख़राब पीता है

k‌yūṇ śharābī śharāb pītā hai
aur phir behisāb pītā hai
jāntā hai ke chīz hai ye burī
phir bhī khānā-kharāb pītā hai

is kadar ġham mile haiṅ duniyā meṅ
ham na pīte to mar gaye hote
gar sahārā na jām kā hotā
jāne kab ke bikhar gaye hote
jisne āṇsū piye haiṅ chhup chhup ke
āj vo behijāb pītā hai

āṇkh meṅ khuśhk ho gae āṇsū
ek qatrā lahū kā dil meṅ nahīṅ
kaun sā jurm hai jo mere lie
is kadar taṅg ho gaī hai zamīṅ
kuchh to dukh hai jise chhupāne ko
chīz itnī kharāb pītā hai