Kyoon chhupaate ho man kee baat

क्‌यूं छुपाते हो मन की बात्
Work
Year
Language

क्‌यूं छुपाते हो मन की बात
कह भी दो बीती जाए रात
दूरियां किसलिए दे दो हाथों में हाथ

दिल भी तुम्हारा है हम भी तुम्हारे हैं
मन में मचलते अरमां हमारे हैं
देखो सितारे करते कैसे इशारे हैं
करलो मुहब्बत कमसिन नज़ारे हैं
क्‌यूं छुपाते हो …

दिल है दीवाना कहना ना माने
रस्मों को कसमों को ये पागल ना जाने
ज़िदी बड़ा है ज़िद पे अड़ा है
आ जाओ आ भी जाओ इसको मनाने
क्‌यूं छुपाते हो …

हमसे मुहब्बत करते हो तुम भी
हम जितना मरते तुमपे मरते हो तुम भी
हमको पता है दिल जानता है
तन्हाईयों में आहें भरते हो तुम भी
क्‌यूं छुपाते हो …

k‌yūṅ chhupāte ho man kī bāt
kah bhī do bītī jāe rāt
dūriyāṅ kislie de do hāthoṅ meṅ hāth

dil bhī tumhārā hai ham bhī tumhāre haiṅ
man meṅ machalte armāṅ hamāre haiṅ
dekho sitāre karte kaise iśhāre haiṅ
karlo muhabbat kamsin nazāre haiṅ
k‌yūṅ chhupāte ho …

dil hai dīvānā kahnā nā māne
rasmoṅ ko kasmoṅ ko ye pāgal nā jāne
zidī baṛā hai zid pe aṛā hai
ā jāo ā bhī jāo isko manāne
k‌yūṅ chhupāte ho …

hamse muhabbat karte ho tum bhī
ham jitnā marte tumpe marte ho tum bhī
hamko patā hai dil jāntā hai
tanhāīyoṅ meṅ āheṅ bharte ho tum bhī
k‌yūṅ chhupāte ho …