Kyoon ankhiyaan bhar aaeen ... bhool sake na ham tumhen

क्‌यूँ अंखियाँ भर आईं ... भूल सके न हम तुम्हें
Work
Year
Language

क्‌यूँ अंखियाँ भर आई
फिर कोई याद आया
क्‌यूँ अंखियाँ भर आई

( भूल सके न हम तुम्हें
और तुम तो जाके भूल गये ) -2
रो रो के कहता है दिल
क्‌यूँ दिल को लगा के भूल गये
भूल सके न हम तुम्हें

बेवफ़ा ये क्‌या किया
दिल के बदले ग़म दिया
मुस्कुराई थी घडी भर
रात दिन अब रोऊं पिया
एक पलक चंदा मेरे
यूं झलक दिखा के भूल गये
भूल सके न हम तुम्हें

कौनसी थी बैरन घडी वो
जबके तुझसे उलझे नयन
सुख के मीठे झूले में रुमझुम
झूम उठा था पावन सा मन
दिन सुनहरे रातें रुपहली
तुम मिले मैं हुई मगन
आँख खुली तो मैने देखा
देखा था एक झूटा सपन
सपनों के संसार में
मेरा मन भरमाके भूल गये

भूल सके न हम तुम्हें
और तुम तो जाके भूल गये
भूल सके न हम तुम्हें

k‌yūṇ aṅkhiyāṇ bhar āī
phir koī yād āyā
k‌yūṇ aṅkhiyāṇ bhar āī

( bhūl sake na ham tumheṅ
aur tum to jāke bhūl gaye ) -2
ro ro ke kahtā hai dil
k‌yūṇ dil ko lagā ke bhūl gaye
bhūl sake na ham tumheṅ

bevafā ye k‌yā kiyā
dil ke badle ġham diyā
muskurāī thī ghaḍī bhar
rāt din ab roūṅ piyā
ek palak chaṅdā mere
yūṅ jhalak dikhā ke bhūl gaye
bhūl sake na ham tumheṅ

kaunsī thī bairan ghaḍī vo
jabke tujhse uljhe nayan
sukh ke mīṭhe jhūle meṅ rumjhum
jhūm uṭhā thā pāvan sā man
din sunahre rāteṅ rupahlī
tum mile maiṅ huī magan
āṇkh khulī to maine dekhā
dekhā thā ek jhūṭā sapan
sapnoṅ ke saṅsār meṅ
merā man bharmāke bhūl gaye

bhūl sake na ham tumheṅ
aur tum to jāke bhūl gaye
bhūl sake na ham tumheṅ