Koee mausam aisaa aaye

कोई मौसम ऐसा आये
Language

कोई मौसम ऐसा आये
उसको अपने साथ जो लाये

लोगों से तारीफ़ सुनी है
उससे मिलके देखा जाये

आज भी दिल पर बोझ बहोत है
आज भी शायद नींद ना आये

हाल है दिल का जुगनू जैसा
जलता जाये, बुझता जाये

बीते लम्हें कुछ ऐसे हैं
खुश्बू जैसे हाथ ना आये

koī mausam aisā āye
usko apne sāth jo lāye

logoṅ se tārīफ़ sunī hai
usse milke dekhā jāye

āj bhī dil par bojh bahot hai
āj bhī śhāyad nīṅd nā āye

hāl hai dil kā jugnū jaisā
jaltā jāye, bujhtā jāye

bīte lamheṅ kuchh aise haiṅ
khuśhbū jaise hāth nā āye