Koee kahe, kahtaa rahe

कोई कहे, कहता रहे
Language

कोई कहे, कहता रहे, कितना भी हमको दीवाना
हम लोगों की ठोकर में हैं ये ज़माना
जब साज़ हैं, आवाज़ हैं, फिर किस लिये हिचकिचाना
गायेंगे हम अपने दिलों का तराना
बिगड़े दुनियाँ, बिगड़ने भी दो
झगड़े दुनियाँ, झगड़ने भी दो
लडे जो दुनियाँ, लड़ने भी दो, तुम अपनी धुन में गाओ
दुनियाँ रूठे, रूठने दो
बंधन टूटे, टूटने दो
कोई छूटे, छूटने दो, ना घबराओ
हम हैं नये, अंदाज़ क्यों हो पुराना
आँखों में हैं बिजलियाँ, साँसों में तूफान हैं
डर क्या हैं और हार क्या, हम इससे अंजान हैं
हमारे लिये ही तो हैं आसमान और ज़मीन
सितारें भी हम तोड़ लेंगे, हमें हैं यकीं
अंबर से हैं आगे हमारा ठिकाना
हम हैं नये, अंदाज़ क्यों हो पुराना
सपनों का जो देस हैं, हा हम वहीं हैं पले
थोड़े से दिल फेंक हैं, थोड़े से हैं मनचले
जहाँ भी गये अपना जादू दिखाते रहे
मोहब्बत हसीनों को अक्सर सिखाते रहे
आये हमें दिल और नींदें चुराना
हम हैं नये, अंदाज़ क्यों हो पुराना

koī kahe, kahtā rahe, kitnā bhī hamko dīvānā
ham logoṅ kī ṭhokar meṅ haiṅ ye zamānā
jab sāz haiṅ, āvāz haiṅ, phir kis liye hichkichānā
gāyeṅge ham apne diloṅ kā tarānā
bigaṛe duniyāṇ, bigaṛne bhī do
jhagaṛe duniyāṇ, jhagaṛne bhī do
laḍe jo duniyāṇ, laṛne bhī do, tum apnī dhun meṅ gāo
duniyāṇ rūṭhe, rūṭhne do
baṅdhan ṭūṭe, ṭūṭne do
koī chhūṭe, chhūṭne do, nā ghabrāo
ham haiṅ naye, aṅdāz kyoṅ ho purānā
āṇkhoṅ meṅ haiṅ bijliyāṇ, sāṇsoṅ meṅ tūphān haiṅ
ḍar kyā haiṅ aur hār kyā, ham isse aṅjān haiṅ
hamāre liye hī to haiṅ āsmān aur zamīn
sitāreṅ bhī ham toṛ leṅge, hameṅ haiṅ yakīṅ
aṅbar se haiṅ āge hamārā ṭhikānā
ham haiṅ naye, aṅdāz kyoṅ ho purānā
sapnoṅ kā jo des haiṅ, hā ham vahīṅ haiṅ pale
thoṛe se dil pheṅk haiṅ, thoṛe se haiṅ manachle
jahāṇ bhī gaye apnā jādū dikhāte rahe
mohabbat hasīnoṅ ko aksar sikhāte rahe
āye hameṅ dil aur nīṅdeṅ churānā
ham haiṅ naye, aṅdāz kyoṅ ho purānā