खुदा भी आसमाँ से जब ज़मीं पर देखता होगा
मेरे महबूब को किसने बनाया सोचता होगा
मुसव्विर खुद परेशां है की ये तस्वीर किसकी है
बनोगी जिसकी तुम ऐसी हसीं तक़दीर किसकी है
कभी वो जल रहा होगा, कभी खुश हो रहा होगा
ज़माने भर की मस्ती को निगाहों में समेटा है
कली से जिस्म को कितनी बहारों में लपेटा है
हुआ तुमसा कोई पहले न कोई दूसरा होगा
फ़रिश्ते भी यहाँ रातों को आकर घूमते होंगे
जहाँ रखती हो तुम पाँव, जगह वो चूमते होंगे
किसी के दिल पे क्या गुज़री, ये वो ही जानता होगा
खुदा भी आसमाँ से जब ज़मीं पर देखता होगा
Work
Year
Language
khudā bhī āsmāṇ se jab zamīṅ par dekhtā hogā
mere mahbūb ko kisne banāyā sochtā hogā
musavvir khud pareśhāṅ hai kī ye tasvīr kiskī hai
banogī jiskī tum aisī hasīṅ taqdīr kiskī hai
kabhī vo jal rahā hogā, kabhī khuśh ho rahā hogā
zamāne bhar kī mastī ko nigāhoṅ meṅ sameṭā hai
kalī se jism ko kitnī bahāroṅ meṅ lapeṭā hai
huā tumsā koī pahle na koī dūsrā hogā
fariśhte bhī yahāṇ rātoṅ ko ākar ghūmte hoṅge
jahāṇ rakhtī ho tum pāṇv, jagah vo chūmte hoṅge
kisī ke dil pe kyā guzrī, ye vo hī jāntā hogā