Kaisee hai yah rut ke jis men phool ban ke dil khile

कैसी है यह रुत के जिस में फूल बन के दिल खिले
Year
Language

कैसी है यह रुत के जिस में फूल बनके दिल खिले
घुल रहे हैं रंग सारे, घुल रही हैं खुश्बुएं
चांदनी, झरनें, घटायें, गीत, बारिश, तितलीयाँ
हम पे हो गये हैं सब मेहरबां

देखो, नदी के किनारे पंछी पुकारे किसी पंछी को
देखो, ये जो नदी है मिलने चली है सागर ही को
यह प्यार का ही सारा है कारवाँ
कैसी है यह रुत के जिस में फूल बनके दिल खिले

कैसे किसीको बताए, कैसे यह समझाए, क्या प्यार है
इस में बंधन नहीं है और ना कोई भी दीवार है
सुनो प्यार की निराली है दास्तां
कैसी है यह रुत के जिस में फूल बन के दिल खिले

kaisī hai yah rut ke jis meṅ phūl banke dil khile
ghul rahe haiṅ raṅg sāre, ghul rahī haiṅ khuśhbueṅ
chāṅdnī, jharneṅ, ghaṭāyeṅ, gīt, bāriśh, titlīyāṇ
ham pe ho gaye haiṅ sab meharbāṅ

dekho, nadī ke kināre paṅchhī pukāre kisī paṅchhī ko
dekho, ye jo nadī hai milne chalī hai sāgar hī ko
yah pyār kā hī sārā hai kārvāṇ
kaisī hai yah rut ke jis meṅ phūl banke dil khile

kaise kisīko batāe, kaise yah samjhāe, kyā pyār hai
is meṅ baṅdhan nahīṅ hai aur nā koī bhī dīvār hai
suno pyār kī nirālī hai dāstāṅ
kaisī hai yah rut ke jis meṅ phūl ban ke dil khile