Kab se hoon kyaa bataaoon, jahaan-e-kharaab men

कब से हूँ क्या बताऊँ, जहान-ए-खराब में
Work
Language

कासिद  के आते आते खत एक और लिख रखूँ
मैं जानता हूँ जो वो लिखेंगे जवाब में
 
कब से हूँ क्या बताऊँ, जहान-ए-खराब में
शब हाये हिज्र को भी रखूं गर हिसाब में

मुझ तक कब उनकी बज़्म में, आता था दौर-ए-जाम
साकी ने कुछ मिला ना दिया हो शराब में

ता-फिर ना इंतज़ार में नींद आये उम्र भर
आने का अहद कर गये, आये जो ख्वाब में

ग़ालिब छुटी शराब, पर अब भी कभी कभी
पीता हूँ रोज़-ए-अब्र-ओ-शब-ए-माहताब में

kāsid  ke āte āte khat ek aur likh rakhūṇ
maiṅ jāntā hūṇ jo vo likheṅge javāb meṅ
 
kab se hūṇ kyā batāūṇ, jahān-e-kharāb meṅ
śhab hāye hijr ko bhī rakhūṅ gar hisāb meṅ

mujh tak kab unkī bazam meṅ, ātā thā daur-e-jām
sākī ne kuchh milā nā diyā ho śharāb meṅ

tā-phir nā iṅtazār meṅ nīṅd āye umr bhar
āne kā ahad kar gaye, āye jo khvāb meṅ

ġhālib chhuṭī śharāb, par ab bhī kabhī kabhī
pītā hūṇ roz-e-abr-o-śhab-e-māhtāb meṅ