tum sāth ho jab apne, duniyā ko dikhā deṅge
ham maut ko jīne ke, aṅdāz sikhā deṅge…
ham to haiṅ dil vāle, khaṅjar se nahīṅ ḍarte
are, ham to haiṅ dil vāle, khaṅjar se nahīṅ ḍarte
ham zulfoṅ ke kaidī haiṅ, sūlī se nahīṅ marte
sūlī ko bhī zulfoṅ kī, zaṅjīr banā deṅge
tum sāth ho jab apne…
ai ahal-e-jahāṅ tum ko, nafrat kī hai bīmārī
barsāyā karo śhole, pheṅkā karo chiṅgārī
ham pyār kī śhabnam se, har āg bujhā deṅge
tum sāth ho jab apne…
mānā ke aṅdheroṅ ke, gahre haiṅ bahut sāye
par dar hai yahāṅ kisko, ātī hai to rāt āe
ham rāt kī sīne meṅ, ik śhammā jalā deṅge
tum sāth ho jab apne…