ज्योती कलश छलके
हुये गुलाबी, लाल सुनहरे, रंगदल बादल के
घर आँगन वन उपवन उपवन
करती ज्योती अमृत के सिंचन
मंगल घट ढलके, ज्योती कलश छलके
पात पात बिरवा हरियाला
धरती का मुख हुआ उजाला
सच सपनें कल के, ज्योती कलश छलके
उषा ने आँचल फैलाया
फैली सुख की शीतल छाया
नीचे आँचल के, ज्योती कलश छलके
ज्योती यशोदा धरती गैय्या
नील गगन गोपाल कन्हैय्या
शामल छबी झलके, ज्योती कलश छलके
jyotī kalaśh chhalke
huye gulābī, lāl sunahre, raṅgadal bādal ke
ghar āṇgan van upavan upavan
kartī jyotī amṛt ke siṅchan
maṅgal ghaṭ ḍhalke, jyotī kalaśh chhalke
pāt pāt birvā hariyālā
dhartī kā mukh huā ujālā
sach sapneṅ kal ke, jyotī kalaśh chhalke
uṣhā ne āṇchal phailāyā
phailī sukh kī śhītal chhāyā
nīche āṇchal ke, jyotī kalaśh chhalke
jyotī yaśhodā dhartī gaiyyā
nīl gagan gopāl kanhaiyyā
śhāmal chhabī jhalke, jyotī kalaśh chhalke