āvārāpan baṅjārāpan ek khalā hai sīne meṅ
har dam har pal bechainī hai kaun balā hai sīne meṅ
is dhartī par jis pal sūraj roz savere ugtā hai -2
apne lie to ṭhīk usī pal roz ḍhalā hai sīne meṅ
āvārāpan baṅjārāpan …
jāne ye kaisī āg lagī hai is meṅ dhuāṇ na chiṅgārī
ho na ho is par kahīṅ koī khvāb jalā hai sīne meṅ
āvārāpan baṅjārāpan …
jis raste par taptā sūraj sārī rāt nahīṅ ḍhaltā
iśhq kī aisī rāhguzar ko ham ne chunā hai sīne meṅ
āvārāpan baṅjārāpan …
kahāṇ kisī ke lie hai mumkin sab ke lie ek sā honā
thoṛā sā dil merā burā hai thoṛā bhalā hai sīne meṅ
āvārāpan baṅjārāpan …
āvārāpan baṅjārāpan ek khalā hai sīne meṅ
har dam har pal bechainī hai kaun balā hai sīne meṅ
dil jis chīz ko hāṇ kahtā hai zahan usī ko kahtā hai nā
iśhq meṅ uf ye khud hī se laṛnā ek sazā hai sīne meṅ
āvārāpan baṅjārāpan …
khaṅjar se hāthoṅ pe lakīreṅ koī bhalā kyā likh pāyā
hamne magar ik pāgalpan meṅ khud ko chhalā hai sīne meṅ
āvārāpan baṅjārāpan …
ye duniyā hī jannat thī ye duniyā hī jannat hai /-2
sab kuchh khokar āj ye ham par bhed khulā hai sīne meṅ
āvārāpan baṅjārāpan …